Well-come..Here u can find urdu poems,english poems,love poems,sad poems,and pictures love,sad,alone,missing you and many more...

Sunday, November 30, 2008

Akhri Shaam.!!


Chup Chup..!


Chup Chup..!


Sadgi..!!


Hota Hai..!!!

Tapish Sooraj Ki Hoti Hai
Tapna Zameen Ko Padta Hai,
Mohabbat Nazron Se Hoti Hai
Tadapna Dil Ko Padta Hai.

Jadu Gari..!!!


Janna Tum Ne Apne Khat Main..!!


Janey Wali..!!!

Janey Wali...!!

apni yadien apni batien le kar jana bhool gayi,
janey wali jaldi main thi mil kar jana bhool gayi,
waqt_e_rukshat meri ankhain pounch rahi thi hathon se,
usko ghum tha itna zayda khud wo rona bhool gayi,
waqat k behte dharya main main ne kesi gaftlat ki,
main b kehna bhool gya wo b rukna bhool gayi...

Kabhi Aisi Hoti HaiShiddat..!!

Kbhi aise hoti hai shidat, k har lamha tere khiyalon mein guzarta hai…
0r najanay kbhi kiuon ? har yaad kobhulanay ko dil kerta hai…
Yon lagta hai,jo gar tumhein kho dia ,tu kiya haasil hai meri zindgi ka?
Or kbhi tumhein paa k lagta hai k, paaya tu mein ny kuch bhi nhi…

KHUDA KARE...


Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paey KHUDA Karey

Tujhko Tera Naseeb Rulaey KHUDa Karey


Tarpey Kisi K Qurb Ko Tu Bhi Yunhi Sada

Lekin Kisi Ka Qurb Na Paey KHUDA Karey


Tu Bhi Qaraar-e- Dil K Liye Dar badar Phirey

aur Zindagi Main Chain Na Paey KHUDA Karey


Mujhko Fareb De K tu Abaad Ho Gaya Tujhko

Tera Fareb Rulaey KHUDA Karey


Dunia Ki Thokron Pa Gaya Tu Mujhko Chor K

Har Roz Khud Bhi Thokrein Khaey KHUDA Karey


Jo Chala Gaya Mere Dil Ko Tor Kar

Woh Ab Kabhi Na Saamney Aaey KHUDA Karey..........

Woh Jo Roop..!!

Woh jo rop zera naqaab tha,
Usse dekhna mera khuwab tha,
Jo mila chahton ka azaab tha,
Ye sawal tha ke mila karo,
Na mila karo ye jawaab tha,
Meri pass thi meri tishnagi,
Tera pass jaam-e-sharaab tha,
Tera pyar tha meri shairy,
Tera ishaq meri kitaab tha...!!!

Phir Chand Nikla...!!!

phir chand khila,
phr raat thami,
phr dil ne kaha hai teri kami,
phr yaad k jhonkey mehak gaye,
phr pagal armaan behak gaye,
phir jannat si lagti hai zameen,
phr guzre lamhoon ki batien,
phr jaagi jaagi si hain raatein,
phr thehar gayi hai palkoon main nami,
phr dil ne kaha hai teri kami..

Tumari Yaad Jab..!!

Tumhari yaad jab ati hai koi paas nahi hota,
Kaash tumse bichadne ka mujhe ehsaas nahi hota.

Yeh jo bayan karti hai ankhen woh lab kaise kahe,
Sabhi toh sun liya humne par itmenan nahi hota.

Har ek umeed se jude hai waqt ke yeh lamhe,
Raah kaisi bhi ho namumkin kuch nahi hota.

Jab tum haste ho toh koi dukh nazar nahi aata,
Kabhi samandar ka talaab se muqabala nahi hota..........

Koi Baat Nahi..!


kashYehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se

Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko

Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha

Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana

Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi ...........

Sochti hoon K..!!!

sochti hon jo aj hai,,,,jb kal na hoga...tu mera apna ap kitna baybus or adhura
hoga...........
ye chunchal hawain or jo rung hein qos e qaz mein,,, mujhe yon hi bhaein gay?...ya
chaya dil pay andheira hoga.....

jb sooch mein mehv,,dor kisi safr ki musafir banti hon...
tu aas paas ksi ko na paati hon.........

charoon janib hein khusiyan mere...or nhi bhi
pass hein saray mere...or nhi bhi''''''''''''''''''''

ye baichaini..or udasi jo chaaee hai barson se...
ab tu porana yaarana lagta in say.

ZINGDI ka ye safer,bht dil dukhata hai...
jaisay shaam mein,subh ka nikla soraj dhalta hai...
jaisay raat i tareeki mein,tanha chand nikalta hai...

dil chahy mein kuhr mein niklon,ksi ka hath thaamay,
phir yon ho k,,is sehr ki shaam na ho,
raahon ki khaber na rahy,
na ghum ,ghum rahy
, na dukh,dukh rahy,
bas phaili khushboo ho har soo,,,,mekhta ho sehra phir
toot k barsein kaali ghataein,,keh mu piyasa na rahy phir..........

Wo Kehti Hay..!!!


Wo Kehti Hay......

Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?

Main Kehta Hoon...

Zara Mujh Ko Manaao...... .

Acha Lagtaa Hay


Wo Kehti Hay

Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?

Main Kehta Hoon....

Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!


Wo Kehti Hay....

Batao...

Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?

Main Kehta Hoon...

Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!


Wo Kehti Hay...

Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?

Main Kehta Hoon...

Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi...!


Wo Kehti Hay...

Batao..

Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?

Main Kehta Hoon...

K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay...!

Wo Kehti Hay...

Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?

Main Kehta Hoon...

Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...!

Agar Aik Bar Tu Nigah Kary..!!

"Agar Aik Bar Tu Nigah Kary"
agar aik bar tu nigah kary
mery khad o khal per
tari nazar key jugnuoun say
mari zeest jhilmilay
tari nigah ke hayat parwar hid'daton say
raqas kana hon
mery tasaver ke titliyan
mari yakh hathaliyoun pe
mehtab utar aay
mery mathy pe zufishn ho
jab wo teri aik nigah
mery badan ka ruwan ruwan
koh e noor ban jay
agar aik bar tu nigah kary
to mujy muntazir wo bahar mily
keh jesay deen o dunya ke tamam rasmain
sirf tery liy banai gai hain.........

Teri Ek Aahat Se..!!

Teri ek aahat se hum tere dil ka haal jaan lete hein
Aye dost hum tujhey door sey pehchaan lete hein..
Sard raaton mein teri yadon ki chaadar taan lete hein
Aye dost hum tujhey door sey pehchaan lete hein..
Tere paas aake hum utaar apni thakaan lete hein
Aye dost hum tujhey door sey pehchaan lete hein..
Saath koobul hai tera.. aaj yeh zabaan dete hein
Aye dost hum tujhey door sey pehchaan lete hein..

Muje Apna Wachan Day Do..!!!


"MUJHEY APNA WACHAN DAY DO"

Mujhey Dil Mein Kahein Rakh Lo

Nighahoon Mein Jagah Day Do

Mujhey Apna Wachan Day do


Zara Tum Paas Aa Kar Meri Bahein Saja Do

Jo Sadiyoon Se Hein Dil Mein....

Wohi Batein Bata Do

Kabhi Sharma Kay Tum Thehro

Mery Kaandhey Par Sar Rakh D

o Mujhey Apna Wachan Day Do


Teri Aankhoon Merin Koi Mera Sapna To Hoga

Bhari dunya Mein Koi Tera Apna To Hoga....

Wohi Apna Mujhey Keh Do

Mery Ghar Mein Qadam Rakh Do


MUJHEY APNA WACHAN DAY DO...

MUJHEY APNA WACHAN DAY DO...



+923338523373

Mere Watun Say..!

Mere watun say mujhe chaht bri ajeeb c hai……
Dil mein tamana uthay,issay baahon mein bhar lon,
Iss k saray dukh, naam mein apnay ker lon,
Baatein kron iss say ittni k din se raat ,
mein ker lon,
Mere watun say mujhe chaht bri ajeeb c hai……
Mun chahay barsaat kr don pholon ki,
is k shehr,kasbon… Iski gaaliyon ,
bazarooon pay,
Tareekh mein likhon iski..
apnay khooon say dobay qalam say,
Bas mein ager ho mere,
apna sab kuch luta don is pay,
Mere watun say mujhe chaht bri ajeeb c hai……
Dil chahay ye royee,
or mein chup kraon issay,
Ye roothay or minat`tein kar kar mana`on issay,
Rooz hi sawa`ron ,
rooz hi sajaon issay,,,
Mere watun say mujhe chaht bri ajeeb c hai…..

Aik Chaand..!!

Aik Chand

Aik chand tanha khara raha,
mere asman se zara pare,
mere sath sath safar main tha,
meri manziloon se zara pare,
teri justajo k hisaar say,
tere khawab tere khayaal se,
main wo shakhs tha jo kharah raha,
teri chahton se zara pare,
kabi dil ki baat kahi na thi,
jo kahii to wo bhi dabi dabi,
mere lafz porey to they magar,
teri sam'aton se zara pare,
tu chala gya mere humsafar,
zara daikh mur k to ik nazar,
teri kashtiyan hen jali hui,
tere sahilon se zara pare....

Kiya Hai Pyarr..!!

kiya hai pyar jise hamne zindagi ki tarah
wo ashna bhi mila hamse ajnabi ki tarah

bara k pyas meri us ne hath chor diya
wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah
kise khabar thi baregi kuch aur tariki
chupega wo kisi badli mein chandani ki tarah

kabhi na socha tha hamne "Qateel"
us ke liye karega ham pe sitam wo bhi har kisi ki tarah ...

Zindagi main To..!!!

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga

tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat k liye thori hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai
tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga
apne jazbat mein nagmat rachane k liye
main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga

teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aye jagata hua jadu aye
tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aye
tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga ...

Hum Yadd..!!

hum yaad rahen to theek warna bhula dena,
ho koi khata humse to hamai saza dena,
waisay to hain hum Geelay kagaz ki manind
likha jaiy to theek warna JALA dena...!!

SIRAF TUM SE..!!

sirf tumsay payar tha baki sub bekar tha
ankhon he ankhon main hum dono ka payar tha
dil he dil main tera he khayal tha
jam k jo lagaya ghoont tery yad main
meri ankhon main khone ansoan ka besat tha
sirf tumsay payar tha baki sub bekar tha ...

Dil..!!!

dil soch ka pinjra hy ik bar hi khulta hy
dil pyar ka soda hy ik bar hi hota hy

dil yad ka badal hy be ant barasta hy
dil pyar ka bhoka hy apno ko tarasta hy

dil pyar ka dariya hy sene main machalta hy
dil baraf ka todah hy jamta na pighalta hy

dil shaam ka tara hy ankhon main chamakta hy
dil hijar ka pathar hy nazron main khatakta hy

dil piyas ka sehra hy barish ko tarasta hy
dil dard ka tukda hy sene mn sulagta hy .........

W@$IM

Iss Deewanay Dil Main..!!!

is deewanay dil may teri yaadon kay siwah kuch ni
in muntazir aankho my aansoo k siwah kuch ni

tery aany ki aas may zindah hoon ab tak
ub tujhy daikhny ki hasrat k siwah kuch ni

teri tasveer aankho my yun uter gai hy
ub nazar kahin bhi jaye teri surat k siwah kuch ni

tamaam raat guzer gai shayed neend mujh sy rooth gai
jahan jo aankh lagi tere sapno k siwah kuch nahi.......

W@$IM

Issdeewanay Dil Main..!!!

is deewanay dil may teri yaadon kay siwah kuch ni
in muntazir aankho my aansoo k siwah kuch ni

tery aany ki aas may zindah hoon ab tak
ub tujhy daikhny ki hasrat k siwah kuch ni

teri tasveer aankho my yun uter gai hy
ub nazar kahin bhi jaye teri surat k siwah kuch ni

tamaam raat guzer gai shayed neend mujh sy rooth gai
jahan jo aankh lagi tere sapno k siwah kuch nahi.......

Afsoos..!!!

ik shaks paas reh k bhi samjha nai mujhy
is baat ka malal hay shikwah ni mujhy,

main usko bewafai ka ilzaam kaisay doon
is nay to ibtada say hi chaha ni mujhy,

kia kia umeedain baandh ker aya tha main usk samnay
is nay to aankh bher k bhi daikha nahi mujhy,

pather samjh ker paaon ki thoker pe rakh dia
afsos iski ankh nay perkha nahi mujhy,

kab therna chahta tha may usk samnay
acha hoa k usnay bhi roka nahi mujhy,,,,,,,

Kabhi Yun Bho To Ho..!!


Kabhi Yon Bhi To Ho


Kabhi yon bhi to ho


Derya ka sahil ho


Poray chand ki raat ho


Aur tum aao


Kabhi yon bhi to ho


Pariyon ki mahfil ho


Koi tumhari baat ho


Aur tum aao


Kabhi yon bhi to ho


Ye narm malaim thandi hawain


Jab gher se tumhare guzrain Tumhari


khushboo chorain Mere gher aain


Kabhi yon bhi to ho


Sooni her minzal ho


Koi na mere saath ho


Aur tum aao


Kabhi yon bhi to ho


Ye baadil aissa toot k


bersay Mere dil ki terha milne ho


Tumhara dil bhi terse Kabhi yon bhi to hoý ...


W@$IM


cute.wasi@live.com

+923338523373

Dukh Dard K maron Ka..!!

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...
woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzaron se mera zikar na kerna...
phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se..
. dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...
shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikar na kerna...
woh meri kahani ko galat rang na de dein...
afsana nigaaron se mera zikar na kerna...
shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
is baar baharon se mera zikar na kerna...
le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
darya ke kinaron se mera zikar na kerna...
woh shakhs mile to usey har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikar na kerna...

Hawa K Jhoonkey Ki Tarah..!!!

Hawa ke jhonke ki tarah
zindagi mein chale aaye the tum
Khushiyon ki saugaat aur
pyaar ke rang sang laaye the tum ...

Ghum ke gumnaam andhere mein
roshni ban kar chhaaye the tum
Chahat ka ehsaas liye
sukoon ban kar dil mein samaye the tum.....

Khushiyon se rangeen thi duniya
har pal jo mere paas the tum
Ghum ke badal gehre hai
jabse juda hue ho tum......

Kyun yahan bekas akeli hoon main
kyun wahan itne tanhaa ho tum
Kyun toote sapne woh sare
kyun itni durr chale gaye ho tum....

Dil ki bebasi kaise kahun aankhon se
aansoo banke behte ho tum
Tarasti hoon tere pyaar ko main
pal pal mujhe yaad aate ho tum......
Related Posts with Thumbnails