Yadon Ki Garm Hawaon SE...
yaadon ki garm hawaon se
ankhoon ki kaliyan jalti hain
jab anus dard batatay hain
kuch loog bohat yaad atey hain
badard hawaeen sah sah kar
suraj k dhaltey saayon main
jab panchi laut k atey hain
kuch loog bohat yaad atey hain
jab aos k katre pholon par
kuch moti se ban jatey hain
to hum b ashq bahatey hain
kuch loog bohat yaad atey hain...
No comments:
Post a Comment