Wo Jisey Bujhey Charaghon Ka Duwaan Kehtey hain
Hum Usey Fasl-e-Barhaan Ka Samaa'n Kehtey hain
Aatish-e-Shoq Mai Jal Jaatey hain Phoolon Ki Trah
Baat Dil Ki Tere Dewaaney Kahan Kehtey hai
Lala-o-Gul Ko Samajhtey hain Tere Aariz-o-Lab
Chaandni Ko Teri Aankhon Ki Zubaan Kehtey hain
Sochta hoon Tere Qadmon Ke Nishaan Hi to Nahi
Aaj Tak Log Jisey KehKaShaan Kehtey hain
Jab Bhi Jaltey hain Dil-e-Zaar Mein Zakhmon Key Charagh
Hum Sitaaron Sey Hadees-e-Hijraan Kehtey hain
Mere Seenay Main Dhadakta He Mere Dil Ki Tarah
Aik Saya K Jisey Weham-o-Gumaan Kehtey hain
Jaaney Kis Shehar Main Rehtey hain Wo Chehrey
Hum Jinhain Jannat-e-Dil, Rahaat-e-Jaan Kehtey hain...
Wa§¡M
...........
No comments:
Post a Comment