Well-come..Here u can find urdu poems,english poems,love poems,sad poems,and pictures love,sad,alone,missing you and many more...

Thursday, October 21, 2010

Mohabbat ki kitaabon ka abi masuam nahi aya

Mohabbat ki kitaabon ka abi masuam nahi aya,
yahan khiltey gulabon ka abi mausam nahi aya..

isi veerangi se hum ne kuch samaan karney hain,
safar main ham rakabon ka abi mausam nahi aya...

andehri raat ban kar jam gaya hai apni ankhon main.
chamaktey aaftaabon ka abi mausam nahi aya...

mujhe barbaad jazbon ki haqeeqat ko parkhna hai,
mere dil main sarabon ka abi mausam nahi aya...

abi to jisam apna urti mojon k hawaley hai,
kaheen haseen khawabon ka abi mausam nahi aya..

yahan paicheda baten kar k hi asaniyan rehti hain,
yahan seeday jawabon ka abi mausam nahi aya...

miley fursat to tujh ko b kuch saaf kar ley ga,
tere pichle hisabon ka abi mausam nahi aya...

No comments:

Related Posts with Thumbnails