Aab ke ham bichhade to shaayad kabhii khvaabon mein milen
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen
dhuundh ujade hue logon mein vafaa ke motii
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon mein milen
tuu kudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyo.n itane hijaabon mein milen
gam-e-duniyaa bhii gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nashaa badataa hai sharabeon jo sharaabon mein milen
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen
ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milen ...
No comments:
Post a Comment