judaiyon ka safar kuch ajeeb lagta hai
gham-e-firaaq tu apna rakeeb lagta hai
Dil ki galiyon kee woh ronaq kia huiabb tu har gosha hee sunsaan nagar lagta hai
key jayaa kartee hain jiss sheay pey nigahain meri
terey chehray ka sabhee aks numaan lagta hai
Dil tu lagta tha har aik kaam mei mera laiken
abb teri yaadon key siwa na kaheen lagta hai
yunn tu duniya mai haseenon kee bari kasrat hai
teri hee husn tu unn sab pey siwa lagta hai
jo mujhey raahon mai tanha hee kaheen chor gaya
wohi raahee mujhey raahat ka jahan lagta hai
rifaaqaton ka yeh rishta bhi kuch ajab,, kia kahain!
tamaam dardon ki yeh aik dawaa lagta hai
dosti kee jo tamannaoon ka saahil paaya
issi ehsaas mai jeenay ka maza lagta hai
key kar gayee thee jo sargoshiyan see raat gayy
ussi aawaaz mai jannat ka pataa lagta hai
koi iss zakhm ki raanaee ko samjhaa hee gaya
key yehi zakhm tu zakhmon pey siwa lagta hai
Khuda ko yaad kia tu hua ehsaas mujhey
koi tu hai jo mera raazdaan bhi lagta hai
hain itney khwahison armaan-o-aarzo key safhaat
"WaSiM" abb zoor-e-qalam mujh ko nehaan lagta hai
No comments:
Post a Comment