Well-come..Here u can find urdu poems,english poems,love poems,sad poems,and pictures love,sad,alone,missing you and many more...

Friday, February 27, 2009

Abhi is taraf na nigah kar

Abhi is taraf na nigah kar,
main ghazal ki palken sanwar lon,
mera lafz lafz ho aaina,
tujhe aaine main utaar lon,
main tamam din ka thaka hua,
tu tamam shab ka jaga hua,
zara tehar ja isi mor par,
tere saath shaam guzar lon,
kahi ajnabi teri raah main,
mere paas se yun guzar gaye,
jinhe dekh kar yeh tadap hui,
tera naam le ke pukar lon....


Wa§¡M

No comments:

Related Posts with Thumbnails