Well-come..Here u can find urdu poems,english poems,love poems,sad poems,and pictures love,sad,alone,missing you and many more...

Monday, April 20, 2009

Karta Hoon..!!


Jo baat khaas hai ab us ko aam karta hoon...
Mein apni taaza ghazal tere naam karta hoon...
Kabhi kabhi nazar aata hoon jheel ki soorat...
Kabhi kabhi tere dukh main qayaam karta hoon...
Hawa ki tarhan tujhay chhayr sakta hoon laykin...
Tu husnn hai mein tera aihtiraam karta hoon...
Agar yeh zindagi kuch hai tou bas mohabbat hai...
Mein apni baat yahien par tamaam karta hoon...


Wa§¡M

No comments:

Related Posts with Thumbnails