Well-come..Here u can find urdu poems,english poems,love poems,sad poems,and pictures love,sad,alone,missing you and many more...

Saturday, August 14, 2010

Honthon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye

kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii


kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii
ham Gariibo.n ne bekasii bechii

chand saa.Nse Khariidane ke liye
roz tho.Dii sii zindagii bechii

jab rulaane lage mujhe saaye
mai.n ne uqtaa ke raushanii bechii

ek ham the ke bik gaye Khud hii
varanaa duniyaa ne dostii bechii..

by Abu Talib.

..................

ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye


ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye

lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N
yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye

taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye

yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye

kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye

thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye

baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuu.N kii
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye..

By Ada Badayuni

No comments:

Related Posts with Thumbnails