Well-come..Here u can find urdu poems,english poems,love poems,sad poems,and pictures love,sad,alone,missing you and many more...

Saturday, August 14, 2010

suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii

is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai


is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai

sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai

mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai

[tark (karanaa) = to give up; ta'alluq = relationship]

har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai

[hijr = separation; Gunche = flower buds]
[gul_daan = flower vase]

Afzal Firdaus

...........

karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa


karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa

[karb=vexation/anguish]

jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n
misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa

[malabuus=garment; misl=like/example; paikar=form]

vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n
yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa

zindagii kitanii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa
is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa

[ataraaf=all around]

aa ga_ii Gam kii havaa phir tere gesuu chhuukar
hamane viiraanaa-e-dil phir se mu'attar dekhaa

[gesuu=hair; mu'attar=fragrant/filled with perfume]

vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal"
usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa

[dasht=desert/wilderness; nihaa.N=hidden/buried; gauhar=pearl]

Afzal Minhas

..................

suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii


suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii

[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking]

go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii

[muattar=full of itr]

ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii.

Aga Hashr

.........

ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n


ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n

le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n

phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n

us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n

tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n

log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n

Ahmad Kamaal

No comments:

Related Posts with Thumbnails