Bulana Mujh Ko
Apni khamosh zindagi main bulana mujh ko,
apni haseen khuwab ki tasveer banana mujh ko,
main jo pochun tumara haal-e-dil,
to apni har darkan ki awaz sunana mujh ko,
main jo kabi rooth jaoon tum sy agar,
to bohat pyaar se manana mujh ko,
jo kabhi ho dil main hasrat tumhari koi,
be-jijak apni har hasrat batana muj ko,
jo ho jao zindagi main tanha kisi pal,
apni pyaar bari awaz se bulana mujh ko...